ḳhud savāl aap hī javāb huuñ maiñ
zindagī kī khulī kitāb huuñ maiñ
yuuñ to ik jur.a-e-sharāb huuñ maiñ
gardish-e-vaqt kā javāb huuñ maiñ
justajū-e-sukūn-e-dil thī mujhe
ġharq-e-dariyā-e-iztirāb huuñ maiñ
merī qīmat hai pyaar ke do-bol
kitne saste meñ dastiyāb huuñ maiñ
kabhī naġhma-tarāz thā maiñ bhī
aaj TuuTā huā rabāb huuñ maiñ
rañj ġham dard be-kasī hasrat
'mīr' kā jaise intiḳhāb huuñ maiñ
kaun mujh par yaqīn lā.egā
apnī nazroñ meñ ḳhud sarāb huuñ maiñ
pahle sailāb se pareshāñ thā
ab ki mahv-e-talāsh-e-āb huuñ maiñ
muḳhtalif rañg haiñ mire 'ābid'
kabhī jalva kabhī hijāb huuñ maiñ