Fani Badayuni

duniya meri bala jaane mahngi hai ya sasti hai

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
duniyā merī balā jaane mahñgī hai yā sastī hai
maut mile to muft na luuñ hastī kī kyā hastī hai
ābādī bhī dekhī hai vīrāne bhī dekhe haiñ
jo ujḌe aur phir na base dil vo nirālī bastī hai
ḳhud jo na hone kā ho adam kyā use honā kahte haiñ
niist na ho to hast nahīñ ye hastī kyā hastī hai
ijz-e-gunāh ke dam tak haiñ ismat-e-kāmil ke jalve
pastī hai to bulandī hai rāz-e-bulandī pastī hai
jaan sī shai bik jaatī hai ek nazar ke badle meñ
aage marzī gāhak kī in dāmoñ to sastī hai
vahshat-e-dil se phirnā hai apne ḳhudā se phir jaanā
dīvāne ye hosh nahīñ ye to hosh-parastī hai
jag suunā hai tere baġhair āñkhoñ kā kyā haal huā
jab bhī duniyā bastī thī ab bhī duniyā bastī hai
aañsū the so ḳhushk hue jī hai ki umDā aatā hai
dil pe ghaTā sī chhā.ī hai khultī hai na barastī hai
dil kā ujaḌnā sahl sahī basnā sahl nahīñ zālim
bastī basnā khel nahīñ baste baste bastī hai
'fānī' jis meñ aañsū kyā dil ke lahū kā kaal na thā
haa.e vo aañkh ab paanī kī do būñdoñ ko tarastī hai
Top Urdushayar.com