Khalid Moin

raat aankhon mein kaTne walo shad raho aabaad raho

Khalid Moin

1962
raat āñkhoñ meñ kāTne vaalo shaad raho ābād raho
bār-e-hijr uThāne vaalo shaad raho ābād raho
kachchī umr meñ kal ke dukhoñ se aaj ulajhnā Thiik nahīñ
pahlā sāvan bhīgne vaalo shaad raho ābād raho
ab aa.e ho saare diye jab ik ik kar ke bujh bhī ga.e
lekin lauT ke aane vaalo shaad raho ābād raho
ḳhāna-badoshī ek hunar hai rafta rafta aa.egā
rañj-e-masāfat khīñchne vaalo shaad raho ābād raho
ek darīche se do āñkheñ roz sadā.eñ detī haiñ
raat ga.e ghar lauTne vaalo shaad raho ābād raho
hijr-zadoñ par ḳhud nahīñ khultā kis aalam meñ rahte haiñ
haal hamārā pūchhne vaalo shaad raho ābād raho
Top Urdushayar.com