ajab pur-lutf manzar dekhtā rahtā huuñ bārish meñ
badan jaltā hai aur maiñ bhīgtā rahtā huuñ bārish meñ
sadā.eñ Duub jaatī haiñ havā ke shor meñ aur maiñ
galī-kūchoñ meñ tanhā chīḳhtā rahtā huuñ bārish meñ
darīche meñ dar aate haiñ bahut se mehrbāñ chehre
maiñ un par shoḳh jumle pheñktā rahtā huuñ bārish meñ
diye jalte haiñ, bujhte haiñ, mire atrāf meñ aur maiñ
bas ik saa.e ke pīchhe bhāgtā rahtā huuñ bārish meñ
pas-e-qaus-e-quzah ik sūrat-e-mahtāb kī jhilmil
maiñ is jhilmil ko pahroñ dekhtā rahtā huuñ bārish meñ
na sonā mere bas meñ hai, na shab bhar jāgnā 'ḳhālid'
maiñ āñkheñ kholtā aur mīchtā rahtā huuñ bārish meñ