Khalid Moin

dasht-e-wahshat ko faqat qais hi bhaya hua hai

Khalid Moin

1962
dasht-e-vahshat ko faqat qais hī bhāyā huā hai
ham ne bhī ishq kā āzār uThāyā huā hai
sar-kashī mauj-e-havā kii, ye kahāñ samjhegī
kis mashaqqat se diyā ham ne jalāyā huā hai
kaise gulfām kahūñ, kaise sitāra samjhūñ
vo badan aur hī miTTī kā banāyā huā hai
mauj-e-ḳhushbū kī tarah haath na aane vaale
ham ne ik saath bahut vaqt bitāyā huā hai
aap ise kāsa-e-tash.hīr samajh baiThe haiñ
ham ne ik umr se ye zaḳhm chhupāyā huā hai
kaash vo chashm-e-gurezāñ bhī kabhī jaan sake
ham ko kis ḳhvāb kī vahshat ne jagāyā huā hai
Top Urdushayar.com