Khalid Moin

sharik-e-KHalwat-e-KHun-bar thoDi hota hai

Khalid Moin

1962
sharīk-e-ḳhalvat-e-ḳhūñ-bār thoḌī hotā hai
ye shahr ġham kaa, nigah-dār thoḌī hotā hai
shikast o fat.h ke asbāb tai-shuda to nahīñ
jo ek baar ho, har baar thoḌī hotā hai
hai ek vaqt muqarrar, vagarna duniyā meñ
koī zavāl pe tayār thoḌī hotā hai
fareb-e-da.avā-guzārī hai, mas.ala kuchh aur
sabhī ko ishq kā āzār thoḌī hotā hai
lahū kī taal pe āġhāz raqs karte hue
idhar udhar se sarokār thoḌī hotā hai
ulaTnā chāhe jo kār-e-munāfiqat kā naqāb
ye shahr! is kā taraf-dār thoḌī hotā hai
lakīreñ khīñchte rahne se ban ga.ī tasvīr
koī bhī kaam ho, be-kār thoḌī hotā hai
Top Urdushayar.com