vo shaḳhs jo rakhtā hai jamāl aur tarah kā
hai us se bichhaḌne kā malāl aur tarah kā
āsār ḳharābī ke haiñ, āġhāz se zāhir
lagtā hai ki guzregā, ye saal aur tarah kā
is shahr-e-ziyāñ-kār ke imkān se bāhar
maiñ ab ke dikhā.ūñgā, kamāl aur tarah kā
hotā hai hamesha hī na.e rañj meñ Duubā
is jāda-e-vahshat pe dhamāl aur tarah kā
is shahr-e-fusūñ-gar ke azaab aur, savāb aur
hijr aur tarah kā hai, visāl aur tarah kā
ab ghar se nikalnā hī paḌegā ki muḳhālif
is baar! uThāte haiñ, savāl aur tarah kā