raat kā apnā ik taqaddus hai so use pā.emāl mat karnā
jab diye guftugū ke raushan hoñ lauTne kā savāl mat karnā
mausam-e-yād kā koī jhoñkā, ab jo guzre tumhārī ḳhalvat se
soch lenā hamāre baare meñ, par hamārā malāl mat karnā
rat-jagoñ kī ruteñ to ḳhair yūñhī aatī jaatī haiñ, par ye dhyān rahe
jāgnā bhī to is salīqe se, apnī āñkhoñ ko laal mat karnā
ham se darvesh duniyā vāloñ se, bas isī baat par ulajhte haiñ
vahshat-e-jism-o-jāñ baḌī shai hai ḳhud ko āsūda-hāl mat karnā
dasht-e-ibrat-sarā meñ rahnā tū sar se saudā nikāl kar rakhnā
log dushman kahīñ na ho jaa.eñ koī aisā kamāl mat karnā
lamha-e-hijr apnī vus.at meñ, aap lazzat hai, zindagī bhar kī
tum bhī 'ḳhālid-moīn' yuuñ karnā, umr sarf-e-visāl mat karnā