apnī jannat mujhe dikhlā na sakā tū vaa.iz
kūcha-e-yār meñ chal dekh le jannat merī
saarī duniyā se anokhī hai zamāne se judā
nemat-e-ḳhās hai allāh re qismat merī
shikva-e-hijr pe sar kaaT ke farmāte haiñ
phir karoge kabhī is muñh se shikāyat merī
terī qudrat kā nazāra hai mirā ijz gunāh
terī rahmat kā ishāra hai nidāmat merī
lo tabassum bhī sharīk-e-nigah-e-nāz huā
aaj kuchh aur baḌhā dī ga.ī qīmat merī
faiz yak lamha-e-dīdār salāmat 'fānī'
ġham ki har roz hai baḌhtī huī daulat merī