Khalid Moin

raqs kiya kabhi shor machaya pahli pahli barish mein

Khalid Moin

1962
raqs kiyā kabhī shor machāyā pahlī pahlī bārish meñ
maiñ thā merā pāgal-pan thā pahlī pahlī bārish meñ
paiham dastak par būñdoñ kī āḳhir us ne dhyān diyā
khul gayā dhīre dhīre darīcha pahlī pahlī bārish meñ
ek akelā maiñ hī ghar meñ ḳhauf-zada sā baiThā thā
varna shahr to bhiig rahā thā pahlī pahlī bārish meñ
aane vaale sabz dinoñ kī sab shādābī, us se hai
āñkhoñ ne jo manzar dekhā pahlī pahlī bārish meñ
shaam paḌe so jaane vālā! diip bujhā kar yādoñ ke
raat ga.e tak jaag rahā thā pahlī pahlī bārish meñ
jaane kyā kyā ḳhvāb bune the, pahle sāvan meñ, maiñ ne
jaane is par kyā kyā likkhā pahlī pahlī bārish meñ
Top Urdushayar.com