Khalid Moin

ek diya aisa bujha hai mujh mein

Khalid Moin

1962
ik diyā aisā bujhā hai mujh meñ
nauhagar! ab ke havā hai mujh meñ
aks-dar-aks bikharnā hai mujhe
jaane kyā TuuT gayā hai mujh meñ
na koī ḳhvāb, na aañsū na ḳhayāl
kyā ajab qaht paḌā hai mujh meñ
chashm hairāñ hai, sar-e-ā.īna
rūnumā kaun huā hai mujh meñ
dil sulagne kā sabab hijr, na vasl
mas.ala is se sivā hai mujh meñ
munkashif! aaj talak ho na sakā
maiñ ḳhalā huuñ ki ḳhalā hai mujh meñ
Top Urdushayar.com