Fani Badayuni

lutf o karam ke putle ho ab qahr o sitam ka nam nahin

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
lutf o karam ke putle ho ab qahr o sitam kā naam nahīñ
dil pe ḳhudā kī maar ki phir bhī chain nahīñ ārām nahīñ
jitne muñh haiñ utnī bāteñ dil kā pata kyā ḳhaak chale
jis ne dil kī chorī kī hai ek usī kā naam nahīñ
jalva o dil meñ farq nahīñ jalve ko hī ab dil kahte haiñ
yaanī ishq kī hastī kā āġhāz to hai anjām nahīñ
ruk ke jo sāñseñ aa.iiñ ga.iiñ maanā ki vo aaheñ thiiñ lekin
aap ne tevar kyuuñ badle aahoñ meñ kisī kā naam nahīñ
ishq ke āzārī bhī kahīñ mar jaane se jī jaate haiñ
le ye tasallī rahne de ai maut ye terā kaam nahīñ
kab se paḌī haiñ dil meñ tere zikr kī saarī rāheñ band
barsoñ guzre is bastī meñ rasm-e-salām-o-payām nahīñ
had thī ye betābi-e-dil kī jāniye ab kyā honā hai
sabr kī had bhī hone aa.ī sub.h nahīñ yā shaam nahīñ
dil pe apnā bas nahīñ chaltā un kī shikāyat kyā kiije
aap ham apne dushman Thahre dost pe kuchh ilzām nahīñ
dil se kisī kī āñkhoñ tak kuchh raaz kī bāteñ pahuñchī haiñ
aañkh se dil tak aayā ho aisā to koī paiġhām nahīñ
naza.a meñ 'fānī' tū ne ye kis kā chupke chupke naam liyā
kyuuñ o kāfir terī zabāñ par ab bhī ḳhudā kā naam nahīñ
Top Urdushayar.com