qasam na khaao taġhāful se baaz aane kī
ki dil meñ ab nahīñ tāqat satā.e jaane kī
hamārī maut ne kuchh muḳhtasar kiyā varna
kuchh intihā hī na thī ishq ke fasāne kī
girī na barq kuchh is ḳhauf se mire hote
taḌap ke aag bujhā duuñ na āshiyāne kī
tumhārā dard to darmāñ banā liyā ham ne
ab aur sochiye tadbīr dil dukhāne kī
zamāna kufr-e-mohabbat se kar chukā thā gurez
tirī nazar ne palaT dī havā zamāne kī
palaT palaT ke qafas hī kī samt jaatā huuñ
kisī ne raah batā.ī na āshiyāne kī
najāt dī ġham-e-duniyā se dard-e-dil ne mujhe
ye ek raah milī ġham se chhūT jaane kī
vo sub.h-e-īd kā manzar tire tasavvur meñ
vo dil meñ aa ke adā tere muskurāne kī
batā rahā hai har andāz ḳhāk-e-'fānī' kā
ye ḳhaak hai usī kāfir ke āstāne kī