mar kar marīz-e-ġham kī vo hālat nahīñ rahī
yaanī vo iztirāb kī sūrat nahīñ rahī
har lamha-e-hayāt rahā vaqf kār-e-shauq
marne kī umr bhar mujhe fursat nahīñ rahī
ek nāla-e-ḳhamosh musalsal hai aur ham
yādash-ba-ḳhair zabt kī tāqat nahīñ rahī
vo ahd-e-dil-farebi-e-tāsīr ab kahāñ
muddat se aah aah kī hasrat nahīñ rahī
dil aur havā-e-silsila-e-jambāni-e-nashāt
kyuuñ pās-e-vaz-e-ġham tujhe ġhairat nahīñ rahī
har be-gunāh se vāda-e-baḳhshish hai roz-e-hashr
goyā gunāh kī bhī zarūrat nahīñ rahī
ai arz-e-shauq muzhda ki dil chaak ho gayā
taklīf parda-dāri-e-hasrat nahīñ rahī
pathrā ga.ī thī aañkh magar band to na thī
ab ye bhī intizār kī sūrat nahīñ rahī
ibrat ne bekasī kā nishāñ bhī miTā diyā
uḌtī thī jis pe ḳhaak vo turbat nahīñ rahī
mahshar meñ bhī vo ahd-e-vafā se mukar ga.e
jis kī ḳhushī thī ab vo qayāmat nahīñ rahī
kis muñh se ġham ke zabt kā daavā kare koī
tāqat ba-qadr-e-hasrat-e-rāhat nahīñ rahī
'fānī' ummīd-e-marg ne bhī de diyā javāb
jiine kī hijr meñ koī sūrat nahīñ rahī