ye kashmakash-e-mun.im-o-nādār kahāñ tak
sarmāya-o-mehnat kī ye takrār kahāñ tak
TūTegī na zulmāt kī dīvār kahāñ tak
uTThegī na vo chashm-e-sahar-bār kahāñ tak
is shahr-e-dil-āzār meñ ab dekhnā ye hai
rahtī hai yūñhī yūrish-e-āzār kahāñ tak
ḳhushnūdī-e-sayyād kī ḳhātir yūñhī yaaro
zindānoñ ko kahte raheñ gulzār kahāñ tak
ik roz bil-āḳhir mujhe taslīm kareñge
jhuTlāeñge mujh ko mire aġhyār kahāñ tak
is tarah to sar ma.arka-e-dār na hogā
chhānoge 'vafā' kūcha-e-dildār kahāñ tak