qurb-e-manzil TuuT jaa.e hauslā achchhā nahīñ
fasl ko pakne se pahle kāTnā achchhā nahīñ
Dūbne vaale bhī us kashtī ke kam shātir na the
ādatan kahte rahe the nā-ḳhudā achchhā nahīñ
ġhair ko pahle parakhte mujh se phir muñh moḌte
jald-bāzī meñ tumhārā faisla achchhā nahīñ
maiñ to baazī haar kar be-fikr ho kar chal diyā
jītne vāloñ ko chaskā lag gayā achchhā nahīñ
ḳhizr kī mīrās kā vo aaj da.avedār hai
be-chale kahtā hai jo ki rāstā achchhā nahīñ
rāsta chalte raho varna 'vafā' kho jāoge
achchhe-ḳhāse silsile ko toḌnā achchhā nahīñ