lafz yuuñ ḳhāmushī se laḌte haiñ
jis tarah ġham hañsī se laḌte haiñ
jānvar jānvar se laḌtā hai
aadmī aadmī se laḌte haiñ
maut kī aarzū meñ dīvāne
umr-bhar zindagī se laḌte haiñ
jis se hai dostī kā hukm hameñ
ham bhī pāgal usī se laḌte haiñ
dūsroñ se kabhī nahīñ laḌte
log jo bhī ḳhudī se laḌte haiñ
ye añdheroñ ke hukmarāñ saare
aaj bhī raushnī se laḌte haiñ
jo anā ke marīz hote haiñ
har na.e din kisī se laḌte haiñ
aur bhī log jab haiñ bastī meñ
aap kyuuñ kar hamī se laḌte haiñ
un ko mazdūr kahnā Thiik nahīñ
log jo muflisī se laḌte haiñ
'abr' be-kār log pūchhte haiñ
aap bhī kyā kisī se laḌte haiñ