har ek pal mujhe dukh dard be-shumār mile
ḳhudā kabhī to mere dil ko bhī qarār mile
zamāna dushman-e-jāñ ho gayā ye ġham hai magar
mirā nasīb ki ḳhanjar ba-dast-e-yār mile
kyā hogī is se bhī baḌh kar kisī kī mahrūmī
jise nasīb meñ tā-marg intizār mile
ai ālamīn ke rāziq batā kahāñ jā.ūñ
mire vatan meñ mujhe jab na rozgār mile
rahe vo zinda yā mar jaa.e farq kyā hai jise
ghuTan zamāne meñ aur qabr meñ fishār mile
maiñ muskurātā magar dī na ashk ne mohlat
ḳhushī jab ek milī saath ġham hazār mile
jo jhuuT bole hukūmat se daad le jaa.e
jo bole sach use tohfe meñ auj-e-dār mile
falak pe likkhūñ tirā naam mere naam ke saath
agar kabhī mujhe tāroñ par iḳhtiyār mile
maiñ jin se duur hī rahnā pasand kartā thā
vo zindagī kī masāfat meñ baar baar mile
ḳhushī se 'abr' har ik rabt munqata.a kar do
agar kahī koī duniyā meñ sogvār mile