vasl hī vasl rahe hijr kā imkān na ho
ai mire dost ye rishta kabhī be-jān na ho
ek qaidī kī tamannā hai nayā shahr mile
shahr aisā ki jahāñ par koī zindān na ho
dil ko raas aa.ī haiñ ye mushkileñ mushkil se bahut
ab maiñ ye chāhtā huuñ zindagī āsān na ho
baat tujh se tire andāz meñ hī kar rahā ho
mere lahje kī akaḌ sun ke tū hairān na ho
is qadar tañg haiñ māyūs nigāheñ us kī
maut bhī sāmne aa.e to pareshān na ho
kis ke aage ye malā.ek kī jabīneñ ḳham haiñ
jis ko sajda ye huā hai kahīñ insān na ho