mohabbatoñ meñ kabhī ye asar nazar aa.e
vo ek baar dikhe umr bhar nazar aa.e
jo sar jhukā.ūñ to pairoñ meñ beḌiyāñ dekhūñ
jo sar uThā.ūñ to neze pe sar nazar aa.e
sukūn DhūñDte thak jā.ūñ aur āḳhir-kār
vo tañg galiyoñ meñ miTTī kā ghar nazar aa.e
na manziloñ kā patā hai na rāstoñ kī ḳhabar
bhaTaktī āñkhoñ ko ab rāhbar nazar aa.e
yahī to nauha hai furqat-zada in āñkhoñ kā
payām-e-yār mile nāma-bar nazar aa.e
tabhī to mānūñ ki haañ us ko bhī mohabbat hai
jab us kī āñkhoñ meñ furqat kā Dar nazar aa.e
mujh aisā bazm meñ koī to sar-ba-zānū ho
in hañste chehroñ meñ ik chashm-e-tar nazar aa.e