sākin-e-ālam-e-barbād nahīñ samjheñge
arsh kī bāteñ zamīñ-zād nahīñ samjheñge
ek muddat se qafas meñ rahe panchhī ḳhud ko
ho ke āzād bhī āzād nahīñ samjheñge
ye zamīñ hai yahāñ jannat nahīñ banñe vaalī
baat ye asr ke shaddād nahīñ samjheñge
muskurāne kī adākārī mujhe aatī hai
mujh ko ghar vaale bhī nāshād nahīñ samjheñge
'abr' de deñge tujhe daad ye sunñe vaale
is ġhazal meñ hai jo fariyād nahīñ samjheñge