lagā ke dil koī kuchh pal amiir rahtā hai
phir ik umr vo ġham meñ asiir rahtā hai
kyuuñ haath dil se lagāte ho baar baar apnā
kyā dil meñ ab bhī koī be-nazīr rahtā hai
tirī zabāñ pe qanā.at kī baat Thiik nahīñ
tire badan pe libās-e-harīr rahtā hai
yaqīn aa gayā in mehrbāñ havāoñ se
usī galī meñ mirā dast-gīr rahtā hai
tire firāq kā ġham vo hai ki dilāse ko
tā-sub.h baam pe māh-e-munīr rahtā hai
phir ahl-e-ishq kī taḳhlīq hotī hai pahle
junūñ kī aag meñ barsoñ ḳhamīr rahtā hai