qatra dariyā-e-āshnā.ī hai
kyā tirī shān-e-kibriyā.ī hai
terī marzī jo dekh paa.ī hai
ḳhalish-e-dard kī ban aa.ī hai
vahm ko bhī tirā nishāñ na milā
nā-rasā.ī sī nā-rasā.ī hai
kaun dil hai jo dardmand nahīñ
kyā tire dard kī ḳhudā.ī hai
jalva-e-yār kā bhikārī huuñ
shash-jihat kāsa-e-gadā.ī hai
maut aatī hai tum na aaoge
tum na aa.e to maut aa.ī hai
bichh ga.e rāh-e-yār meñ kāñTe
kis ko uzr-e-barhana-pā.ī hai
tark-e-ummīd bas kī baat nahīñ
varna ummīd kab bar aa.ī hai
muzhda-e-jannat-e-visāl hai maut
zindagī mahshar-e-judā.ī hai
aarzū phir hai dar-pa-e-tadbīr
sa.i-e-nākām kī duhā.ī hai
maut hī saath de to de 'fānī'
umr ko uzr-e-bevafā.ī hai