Anis Abr

muskan labon par aankhon mein taron ka sajaana mushkil hai

Anis Abr

Gujarat, India

1993
muskān laboñ par āñkhoñ meñ tāroñ kā sajānā mushkil hai
dil toḌnā hai āsāñ lekin rote ko hañsānā mushkil hai
hai kāñch sifat dil siine meñ jab TūTtā hai phir juḌtā nahīñ
jis chiiz se dil uTh jaatā hai phir us se lagānā mushkil hai
ai bulbul-e-dil yuuñ ġham pī kar mat chahak ki ab lab ko sī le
sab saaz burīda-hāl hue ab raag purānā mushkil hai
ai ḳhair-talab afrād chalo apnī jāneñ qurbān kareñ
be-ḳhūn bahā.e duniyā ko ġhaflat se jagānā mushkil hai
tum kāġhzī kashtī meñ dariyā ko paar karo tab samjhoge
ashkoñ se labālab āñkhoñ meñ kyuuñ ḳhvāb sajānā mushkil hai
maanā ki muqaddar hai furqat lāzim hai judā.ī bhī lekin
in sard añdherī rātoñ meñ dil ko samjhānā mushkil hai
Top Urdushayar.com