vā-e-nādānī ye hasrat thī ki hotā dar khulā
ham qafas rāz-e-asīrī kyā kaheñ kyūñkar khulā
fursat-e-ranj-e-asīrī dī na un dhaḌkoñ ne haa.e
ab chhurī sayyād ne lī ab qafas kā dar khulā
allāh allāh ik duā-e-marg ke do do asar
vaañ khulā bāb-e-ijābat yaañ qafas kā dar khulā
uf is āzādi-e-be-hañgām kī majbūriyāñ
maiñ qafas ke paas yuuñ baiThā hī rahtā par khulā
ujlat-e-parvāz jab milne bhī de rāh-e-gurez
yuuñ to khulne ko qafas kā dar khulā aksar khulā
band hai bāb-e-qafas ho sar to paTke jā.iye
ham ne dekhā hai qafas kī tīliyoñ meñ dar khulā
kam to kyā sayyād be-tābī sivā ho jā.egī
tū ne nāhaq tīliyoñ meñ rakh diyā ḳhanjar khulā
āsmāñ garam-e-talāfī chāhiye kaisā qafas
bijliyoñ ke ik ishāre meñ qafas kā dar khulā
likh chuke ham jā chukā ḳhat gar yahī hālat rahī
haath meñ aayā qalam aur shauq kā daftar khulā
dil meñ zaḳhm ashkoñ meñ ḳhuuñ sūrat ba-bīñ-ālam-mapras
vo nigah uf vo mizha nāvak chhupā nashtar khulā
dam-ba-ḳhud sakte kā aalam murdanī chhā.ī huī
rañg merī zindagī kā merī mayyat par khulā
dil meñ terā dhyān ik muddat rahā begāna-vār
khulte hī khulte khulā aur kyā hī sharmā kar khulā
dekhiye kyā gul khilātī hai bahār ab ke baras
ḳhvāb meñ 'fānī' ne dekhā hai qafas kā dar khulā