zulm par bhī jo sanam har dam ho
kyoñ na phir us kā sitam har dam ho
dard barpā kare mujh par har vaqt
bas mirā haath qalam har dam ho
us se har vaqt maiñ ḳhush rahtā huuñ
ye bharam hai to bharam har dam ho
raah pathrīlī sahī bas koī
yaañ milāne ko qadam har dam ho
rahtā har pal hai kisī but kā ḳhayāl
dil mohabbat meñ be-dam har dam ho