maslahat kā koī ḳhudā hai yahāñ
kaam jo sab ke kar rahā hai yahāñ
aur miltā bhī kyā faqīroñ se
sirf ik hausla milā hai yahāñ
log mohtāt haiñ ravayyoñ meñ
qurbatoñ meñ bhī fāsla hai yahāñ
ādatan pūchhne lage haiñ log
kyā koī hādsa huā hai yahāñ
ilm to dafn ho chukā kab kā
kuchh kitāboñ kā silsila hai yahāñ
raushnī muntaqil nahīñ kī ga.ī
bas diye se diyā jalā hai yahāñ