kis tarah jā.ūñ ki ye aa.e hue raat meñ haiñ
ye añdhere nahīñ haiñ saa.e mirī ghaat meñ haiñ
miltā rahtā huuñ maiñ un se to ye mil lete haiñ
yaar ab dil meñ nahīñ rahte mulāqāt meñ haiñ
ye to nākām asāsa hai samundar ke paas
kuchh ġhazabnāk sī lahreñ mire jazbāt meñ haiñ
ye dhueñ meñ jo nazar aate haiñ sarsabz yahāñ
ye makāñ shahr meñ ho kar bhī mazāfāt meñ haiñ
dil kā chhūnā thā ki jazbāt hue patthar ke
aisā lagtā hai ki ham shahr-e-tilismāt meñ haiñ
maiñ hī takrār huuñ aur maiñ hī mukarrar huuñ yahāñ
vaqt par chalte hue din mirī auqāt meñ haiñ