Vipul Kumar

farz-e-supurdagi mein taqaze nahin hue

Vipul Kumar

Hanumangarh, Rajasthan, India

1993
farz-e-supurdagī meñ taqāze nahīñ hue
tere kahāñ se hoñ ki ham apne nahīñ hue
kuchh qarz apnī zaat ke ho bhī ga.e vasūl
jaise tire supurd the vaise nahīñ hue
achchhā huā ki ham ko maraz lā-davā milā
achchhā nahīñ huā ki ham achchhe nahīñ hue
us ke badan kā moḌ baḌā ḳhush-gavār hai
ham bhī safar meñ umr se Thahre nahīñ hue
ik roz khel khel meñ ham us ke ho ga.e
aur phir tamām umr kisī ke nahīñ hue
ham aa ke terī bazm meñ be-shak hue zalīl
jitne gunāhgār the utne nahīñ hue
is baar jañg us se ra.ūnat kī thī so ham
apnī anā ke ho ga.e us ke nahīñ hue
Top Urdushayar.com