ai rah-e-hijr-e-nau-faroz dekh ki ham Thahar ga.e
ye bhī nahīñ ki zinda haiñ ye bhī nahīñ ki mar ga.e
ḳhvāb talak rihā.ī thī tere firāq-o-hijr se
aañkh khulī to aa.ine tah meñ kahīñ utar ga.e
tū bhī mirī tarah rahā dhyān uThā.e shahr kā
so.e to chhāñv so ga.ī qāfile kuuch kar ga.e
tujh ko bahut qarīb se dekh ke yuuñ lagā ki ab
ḳhema-e-jāñ ukhaḌ gayā dasht-e-talab guzar ga.e
dil kī gavāhī ke liye rasm-e-duā burī na thī
ranj-e-ḳhumār-e-be-samar DhūñDne us ke ghar ga.e
ham hī the vo balā-kashāñ dār-o-rasan the jin kī jaañ
ham hī the shab ke ham-safar ham hī na apne ghar ga.e
dil ko tire firāq kī aarzū yaad rah ga.ī
din vo mohabbatoñ ke bhī misl-e-rah-e-safar ga.e
mere liye bhī ḳhvāb the us ne rakhe hue kahīñ
shahr meñ un ko DhūñDne qāsid-e-be-hunar ga.e