ab unheñ apnī adāoñ se hijāb aatā hai
chashm-e-bad-dūr dulhan ban ke shabāb aatā hai
hijr meñ bhī mujhe imdād-e-ajal hai darkār
merī turbat pe na aa tujh se hijāb aatā hai
diid āḳhir hai ulaT dījiye chehre se naqāb
aaj mushtāq ke chehre pe naqāb aatā hai
kis taraf josh-e-karam terī nigāheñ uTThīñ
kaun mahshar meñ sazā-vār-e-itāb aatā hai
maut kī niind bhī ab chain se sonā mālūm
ki janāze pe vo ġhārat-gar-e-ḳhvāb aatā hai
dil ko is tarah Thahar jaane kī aadat to na thī
kyuuñ ajal kyā mire naame kā javāb aatā hai
jalva-e-rañg hai nairañg-e-taqāzā-e-nigāh
koī majbūr tamāsha-e-sarāb aatā hai
ho gayā ḳhuun tire hijr meñ dil kā shāyad
ab tasavvur bhī tirā naqsh-bar-āb aatā hai
miltī jultī hai mirī umr-e-do-roza 'fānī'
jī bhar aatā hai agar zikr-e-habāb aatā hai