vasl meñ bigḌe bane yaar ke aksar gesū
uljhe suljhe mirī taqdīr se shab bhar gesū
maiñ na mānūñgā ye zulmat use kis din ho nasīb
ho ga.e hoñge sharīk shab-e-mahshar gesū
kahne sunñe se agar vasl huā bhī to kyā
zid se baiThe vo banāyā kiye shab bhar gesū
chāhte haiñ ki pareshāñ pas-e-murdan bhī rahūñ
khol dete haiñ mirī gor par aa kar gesū
uḌ chalā aur bhī vo rashk-e-parī-zādāñ se
ban ga.e husn ke parvāz ko shahpar gesū
aarzū hai ki shab-e-qadr ho yā shām-e-ummīd
kuchh dikhā.e na ḳhudā tere dikhā kar gesū
ye bhī taqdīr ke haiñ pech vagarna 'taslīm'
mujh sā āzād ho pāband-e-mo.ambar gesū