Munshi Amirullah Tasleem

kyun KHarabaat mein laf-e-hama-dani waiz

Munshi Amirullah Tasleem

Faizabad, Uttar pradesh, India

1819-1911
kyuuñ ḳharābāt meñ lāf-e-hama-dānī vaa.iz
kaun suntā hai tirī harzā-bayānī vaa.iz
daftar-e-va.az ke nuqte bhī na hoñge itne
jitne haiñ dil meñ mire dāġh-e-nihānī vaa.iz
sach sahī jannat-o-dozaḳh kā fasāna lekin
kis tarah maan luuñ maiñ terī zabānī vaa.iz
be-vazū pā-e-ḳhum-e-bāda ko chhū letā hai
ḳhaak aatī hai tujhe martaba-dānī vaa.iz
narm bhī dil suḳhan-e-garm se ab tak na huā
dekh lī ham ne tirī sho.ala-bayānī vaa.iz
nek-o-bad ḳhuub samajhtā huuñ karūñ kyā ki abhī
sunñe detā nahīñ āshob-e-javānī vaa.iz
rindī-o-zohd riyā.ī meñ haiñ donoñ yaktā
misl merā hai na terā koī saanī vaa.iz
ye ḳharābāt hai jā ḳhair se apne ghar ko
muñh kī khulvā.e na phir tez-zabānī vaa.iz
aaj samjhā ga.ī kyā tujh ko ibādat terī
na rahā mashġhala-e-ashk-fishānī vaa.iz
is qadar hai jo dam-e-naza.a havas duniyā kī
saath le jā.egā kyā ālam-e-fānī vaa.iz
riñd huuñ de mujhe jām-e-mai-at.har kī ḳhabar
tujh ko kausar kā mubārak rahe paanī vaa.iz
zard ho jaatā hai sun kar ruḳh-e-gulgūñ merā
tirī taqrīr hai yā bād-e-ḳhizānī vaa.iz
naqsha firdaus kā bātoñ meñ dikhā detā hai
ye zabāñ hai tirī yā ḳhāma-e-mānī vaa.iz
chalte phirte nahīñ be-vaj.h ye ronā merā
saath phirtā huuñ liye ġham kī nishānī vaa.iz
kyā ruke ḳhāma-e-'taslīm' dam-e-fikr-e-suḳhan
tab.a meñ aaj hai dariyā kī ravānī vaa.iz
Top Urdushayar.com