Fani Badayuni

shabab-e-hosh ki fil-jumla yaadgar hui

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
shabāb-e-hosh ki fil-jumla yādgār huī
jo umr sarf-e-tamāshā-e-husn-e-yār huī
hisāb-e-hasrat-e-jurm-e-nazāra dil se pūchh
nazar to ek jhalak kī gunāh-gār huī
bisāt-e-ajz meñ ik aah thī matā-e-hayāt
so vo bhī sarf-e-sitam-hā-e-rozgār huī
ba-qadr-e-hasti-e-dil hai ḳhumār-e-ġham badnām
ḳhizāñ ḳharāb ba-andāza-e-bahār huī
nahīñ ki aah meñ tāsīr hī nahīñ lekin
ye dil-figār kabhī āsmāñ-figār huī
karam hai raaz ummīd-e-karam kī hastī kā
ummīd tere karam kī ummīd-vār huī
balā se hijr meñ jiine kī intihā to hai
vo ek baar huī yā hazār baar huī
azal meñ ḳhalq huī thī jo bijliyoñ kī ruuh
tirī nigāh mirī jaan be-qarār huī
mire vajūd kī hujjat mire adam kī dalīl
vo ik nazar thī jo shāyad jigar ke paar huī
bahār nazr-e-taġhāful huī ḳhizāñ Thahrī
ḳhizāñ shahīd-e-tabassum huī bahār huī
ummīd-e-marg pe 'fānī' nisār kyā kiije
vo zindagī ki huī bhī to musta.ār huī
Top Urdushayar.com