Munshi Amirullah Tasleem

karo na der jahan mein jahan se aage chalo

Munshi Amirullah Tasleem

Faizabad, Uttar pradesh, India

1819-1911
karo na der jahāñ meñ jahāñ se aage chalo
yahāñ gumān-e-ḳhatar hai qadam baḌhā.e chalo
yahāñ fareb-e-nsheb-o-farāz aksar hai
ḳhudā ke vāste itnā na muñh uThā.e chalo
shikasta-pā huuñ kahīñ saath se na rah jā.ūñ
mujhe bhī haath zarā dosto lagā.e chalo
abhī to husn-e-amal kā zamāna baaqī hai
vahāñ kī bigḌī huī kuchh yahīñ banā.e chalo
idhar-udhar kahīñ bhar kar tarāra jā na paḌe
samand-e-umr-e-ravāñ ko zarā dabā.e chalo
adam meñ tarsoge dard-e-jigar ko ai 'taslīm'
jo ho sake koī siine pe tiir khaa.e chalo
Top Urdushayar.com