Munshi Amirullah Tasleem

gar yahi hai aadat-e-takrar hanste bolte

Munshi Amirullah Tasleem

Faizabad, Uttar pradesh, India

1819-1911
gar yahī hai ādat-e-takrār hañste bolte
muñh kī ik din khā.eñge aġhyār hañste bolte
thī tamannā bāġh-e-ālam meñ gul o bulbul kī tarah
baiTh kar ham tum kahīñ ai yaar hañste bolte
merī qismat se zabān-e-tīr bhī goyā nahīñ
varna kyā kyā zaḳhm-e-dāman-dār hañste bolte
dil-lagī meñ hasrat-e-dil kuchh nikal jaatī to hai
bose le lete haiñ ham do-chār hañste bolte
aaj uzr-e-ittiqā 'taslīm' kal tak yaar se
aap ko dekhā sar-e-bāzār hañste bolte
Top Urdushayar.com