Munshi Amirullah Tasleem

thak gae tum hasrat-e-zauq-e-shahadat kam nahin

Munshi Amirullah Tasleem

Faizabad, Uttar pradesh, India

1819-1911
thak ga.e tum hasrat-e-zauq-e-shahādat kam nahīñ
mujh se dam le lo agar teġh-e-sitam meñ dam nahīñ
dardmandān-e-azal rakhte nahīñ darmāñ kā ġham
sīna-e-sad-chāk gul minnat-kash-e-marham nahīñ
roz marte haiñ hazāroñ dekh kar nairañg-e-husn
gar yahī aalam tumhārā hai to ye aalam nahīñ
mar miTe ham ishq ke shohre vahī haiñ chaar sū
shor-e-rusvā.ī pas-e-murdan bhī apnā kam nahīñ
nāla-e-ātish-fishāñ yuuñ hī agar hai auj par
tū nahīñ ai āsmān-e-fitnagar yā ham nahīñ
be-sabātī par bahār-e-bāġh kī rotā hai charḳh
rū-e-gul par qatra-hā-e-ashk haiñ shabnam nahīñ
ḳhush haiñ mere marne se 'taslīm' ḳhvesh o aqribā
ḳhāna-e-shādī hai goyā ḳhāna-e-mātam nahīñ
Top Urdushayar.com