chāhtā huuñ pahle ḳhud-bīnī se maut aa.e mujhe
aap ko dekhūñ ḳhudā vo din na dikhlā.e mujhe
aas kyā ab to ummīd-e-nā-ummīdī bhī nahīñ
kaun de mujh ko tasallī kaun bahlā.e mujhe
dil dhaḌaktā hai shab-e-ġham meñ kahīñ aisā na ho
marg bhī ban kar mizāj-e-yār tarsā.e mujhe
le chalo lillāh koī ḳhizr-e-mīnā ke huzūr
ālam-e-gum-gashtagī kī raah batlā.e mujhe
ab to josh-e-ārzū 'taslīm' kahtā hai yahī
rauza-e-shāh-e-najaf-allāh dikhlā.e mujhe