Munshi Amirullah Tasleem

fikr hai shauq-e-kamar ishq-e-dahan paida karun

Munshi Amirullah Tasleem

Faizabad, Uttar pradesh, India

1819-1911
fikr hai shauq-e-kamar ishq-e-dahāñ paidā karūñ
chāhtā huuñ ek dil meñ do makāñ paidā karūñ
tab-e-ālī se agar auj-e-bayāñ paidā karūñ
maiñ zamīn-e-sher meñ bhī āsmāñ paidā karūñ
huuñ maiñ vo dil-soḳhta tāsīr-e-āh-e-garm se
gulshan-e-jannat meñ bhī daur-e-ḳhizāñ paidā karūñ
paañv kahte haiñ tire kūche meñ aa kar zo.af se
tū girā de aur maiñ ḳhvāb-e-girāñ paidā karūñ
ab bhī tum aao to maiñ āñkhoñ meñ bahr-e-yak-nazar
DhūñD kar thoḌī sī jān-e-nā-tavāñ paidā karūñ
maiñ huuñ ai 'taslīm' shāgird-e-'nasīm'-e-dahlavī
chāhiye ustād kā tarz-e-bayāñ paidā karūñ
Top Urdushayar.com