Munshi Amirullah Tasleem

wasl ki shab bhi ada-e-rasm-e-hirman mein raha

Munshi Amirullah Tasleem

Faizabad, Uttar pradesh, India

1819-1911
vasl kī shab bhī adā-e-rasm-e-hirmāñ meñ rahā
sub.h tak maiñ iltimās-e-shauq-e-pinhāñ meñ rahā
mar ga.e lākhoñ shahīd-e-nāz kuchh parvā nahīñ
vo tamāshā-e-hilāl-e-īd-e-qurbāñ meñ rahā
kaam apnā kar chukī bīmārī-e-ishq-e-butāñ
maiñ fareb-e-nusḳha-o-tāsīr-e-darmāñ meñ rahā
vaah re pās-e-vafā allāh rī sharm-e-ārzū
har nafas hamrāhī-e-umr-e-gurezāñ meñ rahā
kyā paḌhe ash.ār 'taslīm'-e-jigar-afgār ne
shor-e-tahsīñ har taraf bazm-e-suḳhan-dāñ meñ rahā
Top Urdushayar.com