Munshi Amirullah Tasleem

ek aafat-e-jaan hai jo mudawa mere dil ka

Munshi Amirullah Tasleem

Faizabad, Uttar pradesh, India

1819-1911
ik āfat-e-jāñ hai jo mudāvā mire dil kā
achchhā koī phir kyuuñ ho masīhā mire dil kā
kyuuñ bhiiḌ lagā.ī hai mujhe dekh ke betāb
kyā koī tamāshā hai taḌapnā mire dil kā
bāzār-e-mohabbat meñ kamī kartī hai taqdīr
ban ban ke bigaḌ jaatā hai saudā mire dil kā
gar vo na hue faisala-e-hashr pe raazī
kyā hogā phir anjām ḳhudāyā mire dil kā
kyā kohkan o qais ko dete dam-e-taqsīm
hissa thā ġham-e-hausla-farsā mire dil kā
go maiñ na rahūñ mahfil-e-jānāñ meñ magar roz
'taslīm' yuuñ hī zikr rahegā mire dil kā
Top Urdushayar.com