baḌh ga.ī mai piine se dil kī tamannā aur bhī
sadqa apnā sāqiyā yak jām-e-sahbā aur bhī
ek to maiñ aap nāseh huuñ pareshāñ ḳhasta-jāñ
dil dukhā detī hai terī pind-e-bejā aur bhī
dāstān-e-shauq-e-dil aisī nahīñ thī muḳhtasar
jī lagā kar tum agar sunte maiñ kahtā aur bhī
kuchh to pahle se dil-e-betāb thā vahshī-mizāj
be-tire din raat ghabrātā hai tanhā aur bhī
dekhte hī dekhte 'taslīm' vo chhupne lage
baḌh gayā be-pardagī meñ mujh se parda aur bhī