kahne sunñe se mirī un kī adāvat ho ga.ī
jo na honī thī vo ġhairoñ kī badaulat ho ga.ī
roz aatī hai magar ik roz bhī aatī nahīñ
ai ajal tū bhī mire haq meñ qayāmat ho ga.ī
mere un ke ab kahāñ pahlā tapāk-e-āshiqī
chalte phirte mil ga.e sāhab-salāmat ho ga.ī
samjhe the dasht-e-junūñ meñ kuchh bahal jā.egā dil
dekh kar sunsān jañgal duunī vahshat ho ga.ī
shakl dikhlātī nahīñ shīshe se aa ke jaam meñ
duḳhtar-e-raz tū to abhī se be-muravvat ho ga.ī
marg-e-āshiq kā abas hai sog har dam is qadar
chhuT gayā vo qaid-e-ġham se tum ko fursat ho ga.ī
fasl-e-gul aa.ī baḌhe josh-e-junūñ ke valvale
phir vahī 'taslīm' apnī ġhair hālat ho ga.ī