Fani Badayuni

wo puchhte hain hijr mein hai iztirab kya

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
vo pūchhte haiñ hijr meñ hai iztirāb kyā
hairān huuñ ki duuñ unheñ is kā javāb kyā
dil aur vo bhī sirf mirā dardmand dil
terī nigāh ne ye kiyā intiḳhāb kyā
jaatī nahīñ ḳhalish alam-e-rozgār kī
ai āsmāñ huā vo tirā inqilāb kyā
nazzāra-e-jamāl kī yaañ taab hī nahīñ
ai barq-e-husn chāhiye tujh ko naqāb kyā
vaada bhī kar lo vaada pe yaañ aa bhī jaao tum
ye sab sahī tumhārī nahīñ kā javāb kyā
besh-az-gumān ḳhvāb nahīñ fursat-e-hayāt
'fānī' tum is ḳhayāl ko samjhe ho ḳhvāb kyā
Top Urdushayar.com