mizāj-e-dahr meñ un kā ishāra paa.e jā
jo ho sake to bahar-hāl muskurā.e jā
bahār-e-sad-chamanistān-e-ārzū ban kar
mire ḳhayāl kī rañgīniyoñ meñ aa.e jā
ḳhirad-navāz nigāhoñ kī aaḌ meñ rah kar
fazā-e-ālam-e-dīvāngī pe chhā.e jā
pilā.e jā ki abhī hosh-e-be-ḳhudī hai mujhe
pilā.e jā mujhe saaqī abhī pilā.e jā
dil o jigar pe guzar jā.egī jo guzregī
tirī nazar se jo fitne uTheñ uThā.e jā
zarā Thahr ki ab anjām-e-soz-e-ġham hai qarīb
charāġh-e-zīst bhaḌakne ko hai bujhā.e jā
sukūt-e-mayyat-e-'fānī' hai ik fasāna-e-shauq
lab-e-ḳhamosh se har mudda.ā ko paa.e jā