Sabir

aahista boliyega tamasha khaDa na ho

Sabir

Maharashtra, India

1975
āhista boliyegā tamāshā khaḌā na ho
bairūn-e-ḳhvāb koī hameñ sun rahā na ho
dīvāreñ uTh ga.ī na hoñ dasht-e-junūn meñ
ram-ḳhurda vo ġhazāl kahīñ gum-shuda na ho
raḳht-e-safar meñ bāñdh leñ pur-shor kuchh bhañvar
dariyā hai pur-sukūn safar be-maza na ho
yuuñ to vo ek aam sā patthar hai miil kā
lekin vahāñ se aage agar rāsta na ho
masjid pukārtī rahī hayya-alal-falāh
jaise hamārā apnā koī falsafa na ho
ham kaaT deñge umr kī zanjīr ek din
ham-zād karb-e-dīd se shāyad rihā na ho
ik chāñd mujh ko tāktā rahtā hai in dinoñ
jaise sivā.e mere koī ā.īna na ho
hañs hañs ke us se bāteñ kiye jā rahe ho tum
'sābir' vo dil meñ aur hī kuchh sochtā na ho
Top Urdushayar.com