ḳhūbiyoñ ko masḳh kar ke aib jaisā kar diyā
ham ne yuuñ aiboñ kī ābādī ko duunā kar diyā
tai to ye thā har badī kī intihā tak jā.eñge
be-ḳhayālī meñ ye kaisā kaam achchhā kar diyā
mujh se kal mahfil meñ us ne muskurā kar baat kī
vo mirā ho hī nahīñ saktā ye pakkā kar diyā
chilchilātī-dhūp thī lekin thā saaya ham-qadam
sā.ebāñ kī chhāñv ne mujh ko akelā kar diyā
maiñ bhī ab kuchh kuchh samajhne lag gayā huuñ ai tabīb
dard ne siine meñ uTh kar kyā ishāra kar diyā