mustaqar kī ḳhvāhish meñ muntashir se rahte haiñ
be-kanār dariyā meñ lafz lafz bahte haiñ
sab ulaT-palaT dī haiñ sarf-o-nahv-e-derīna
zaḳhm zaḳhm jiite haiñ lamha lamha sahte haiñ
yaar log kahte haiñ ḳhvāb kā mazār us ko
az-rah-e-ravāyat ham ḳhvāb-gāh kahte haiñ
raushnī kī kirneñ haiñ yā lahū andhere kā
surḳh-rañg qatre jo rauzanoñ se bahte haiñ
ye kyā bad-mazāqī hai gard jhāḌte kyuuñ ho
is makān-e-ḳhasta meñ yaar ham bhī rahte haiñ