saiñt kar īmān kuchh din aur rakhnā hai abhī
āj-kal bāzār meñ mandī hai sastā hai abhī
darmiyāñ jo fāsla rakkhā huā sā hai abhī
ik yahī us tak pahuñchne kā vasīla hai abhī
yuuñ hī sab mil baiThte haiñ sābeqūnal-avvalūn
dasht meñ jaarī hamārā aanā jaanā hai abhī
muskurānā ek fan hai aur maiñ nau-mashq huuñ
phir bhī kyā kam hai use bechain dekhā hai abhī
qumqumoñ kī raushnī meñ bhī nazar aatā hai chāñd
gaañv meñ merā purānā ik shanāsā hai abhī
jā-ba-jā bikhre paḌe haiñ saare aazā ḳhvāb ke
zer-e-mizhgāñ kis ne ye shab-ḳhūn maarā hai abhī
kyuuñ na ghaḌ leñ kuchh manāqib aur fazā.el habs ke
jab isī andhe kueñ meñ ham ko jiinā hai abhī