aḳhīr-e-shab sard raakh chūlhe kī jhaaḌ laa.eñ
tumhārī yādoñ ke aa.ine phir se jagmagā.eñ
galī ke nukkaḌ par ab nahīñ hai vo shor phailā
bhalā.ī is meñ hai zā.iqe ham bhī bhuul jaa.eñ
rakhe rakhe ho ga.e purāne tamām rishte
kahāñ kisī ajnabī se rishta nayā banā.eñ
vo hañsī āñkheñ jalā.e detī haiñ jaañ hamārī
navāh-e-jāñ meñ ġhubār-e-āh-o-bukā uḌā.eñ
hamārī sab laġhzisheñ haiñ mahfūz Diary meñ
tabhī to haiñ mudda.ī ki kam kam milī sazā.eñ